Post # 2...same mood...but in hindi
call me narcissistic...but felt like it...so here goes another one
Mera gham mera na raha
Tumne na kabhi use apnaya
Ab akele bhatakta hai
Anjaani raahon mein
Chaho to tham lo
Woh akele chal thak chuka hai
Kabhi saath chalna uske
Tapte raaston pe
Dhoop hai garmiyon ki
Raaton ko bhi jalti
Sooraj aandhiyon mein bhi
Saath chalta hai
In lafzon ko tum ek nazar bhi na do
Inki zindagi yun hi kam hai
Marne par dafn honge kahan
Sirf rooh ko rehne ke liye
Kya do aankhein kam hai
Jaayenge kahan
Jaao par laut kar aana mat
Shikayat hai tumse
Tumhari berukhi se
Kya hume bhi apni tarah
Patthar hi mana
Lo toot kar bikhar jaate hain
Kya tab sametoge
Un tukdon ko jo kabhi hum the

